**sapnay kaisay baat karain…!
khadshoon ki zanjeer pari hai
neend bhari
sab aankhoon main
sapnay kaisay baat karain!
sapnay kis say baat karain!
jin logoon ka rasta taktay
umrain rizq-e-khaak hoin
ab wo loog aur un kay sapnay
daikhnay wali aankhain bujh kar raakh hoin
raakh kay is aambaar main hoon gai
kaisay kaisay zinda khwaab!
khwaboon ki is raakh ko laikin chairay kon?
jis rastay pay chaoon na pani
us pay dairay dalay kon?
jis matti main rait milli ho us main kaisay baagh lagain!
darya hi payaab ho jab to
us main kashti kia lay jain!
khushboo ik awara jhoonka,
is jhoonkay ko ghairay kon!
kaisay duniya ko batlaoon,
tum hotay ho mairay kon!!
Amjad Islam Amjad**