Sapna Ek lekin mushkile hazar hain,
Tanhayie aur ghum to mere bachpan ke yaar hain,
ab to yeh dil maut ke liye bhi taiyaar hain,
kyunki is zindagi mein hume sirf bewafaon se pyaar hain!!!
Aashna hotay hue bhi aashna koi nahin,
jantay sab hain mujhai pehchanta koi nahin,
hum nai kudh sai peda keye hain zindagi main maslay,
werna sachi baat yeh hai masla koi nahin,
khudkashi bhi jurm hai aur mai kashi bhi jurm,
kaun kis mushkil main hai yeh diekhta koi nahin,
mukhtaser lafzoon main hai yeh aab mizaj-e-dosti,
rabta bai shak hai sab sai wasta koi nahin.
Hamari mehfil ko fasana mil gaya,
Hamari gazlon ko afsana mil gaya,
Apki dosti aisi mili jaise
Khuda ki taraf se koi nazrana mil gaya.
Mushkilon se aapki mulaqat na ho,
Udaas baitho kabhi aisi baat na ho,
Duya hai ke mehfil se saje zindagi aapki,
bus hume pukarlena agar koi saath na ho.