Sangsaari main to wo hath bhi utha tha

Parsaon ne bade zarf ka izhar kya
hum se pi aur hamen ruswa sar e bazar kya

Raat phoolon ki numaish wo khush jism se log
aap to kwab huwe aur hamen bedaar kya

Tum to resham the chattanon ki nigahdari main
kis hawa ne tume paa basta e yalghaar kya

Hum kya bure the bus ik sidq ko samjhe the sipr
wo bhi ache the ke bus yaar kaha aur waar kya

Sangsaari main to wo hath bhi utha tha Ataa
Jis ne masoom kaha jisne gunehgaar kya

By: Ataa Shaad

pi

Iuytr

Re: Sangsaari main to wo hath bhi utha tha

Sangsaari main to wo hath bhi utha tha Ataa
Jis ne masoom kaha jisne gunehgaar kya

sab ikathay ho gye hain

Re: Sangsaari main to wo hath bhi utha tha

chalbaaz log

Re: Sangsaari main to wo hath bhi utha tha

hota hy yehi hy
pehla pather hi usi ka hoga

Re: Sangsaari main to wo hath bhi utha tha

aisa kiyun hota hai, jin se pyar kia jae.. wo itne pathar marte hain, ke jeete ji insaan dafn hojata hai

Re: Sangsaari main to wo hath bhi utha tha

insan na shukra orr na qadra hy
es liay :snooty: