Usay kehna
hamaray paaon mai jo rasta tha
rastay mai pairr thay
pairroon pe jtni tairoon ki toliyaan hum se
mila kertee theen
ab wo urtay urtay thak gai hain
wo ghani shakhain jo hu per saya kerti theen
wo sab murjha gai hain
tum usay kehna
laboon pe lafz hain
Lafzoon mai koi dastaan,koi qissa kahani
jo usay aksar sunatay thay
kisay ja ker sunaiye gay??
bataiye gay k hum mehrab-e-abro mai sitaray tanknay walay
Dar-e-lab bosa-e-izhar ki dastak se akser kholnay walay
kabhee bikhri hoi zulfoon mai hum
mehtaab k gajray bana ker bandnay walay
chiraag aur aainay k darmiyaan kab se sar-e-sahil
kharay maujoon ko taktay hain
usay kehna
usay hum yaad kertay hain
usay kehna hum aa ker khud usay miltay ager maqtal, badaltay
mausamoon k khoon mai rangeen hain aur hum
aisay bahut say mausumoon k darmiyaan tanha kharay hain
janay kab bulawa ho?k hum mai aaj bhee eik umer ki
waraftagi aur weshatoon ka raq's jari hai,wo bazi jo
bisaat-e-jaan pe khaili thee abhee hum ne na jeeti
na hari hai
usay kehna
kabhee milnay chalay aay
usay hum yaad kertay hain
very nice.. :k:
luv this poem.. but i think ke end mein ye aisee hai
usay kehna
kabhee milnay chalay aay
ke ab ki baar bhee shaid
apnii hee barii hai…
![]()
may be… mujay kesi ne mail ke thee… neway… thanks for correcting.. ![]()
yup ur rite Hacker
And nice one Sweet :k:
woww beautifull :k:
nice one :k:
:k:
v nice one of ma fav thanks 4 sharin again..:)
[QUOTE]
*Originally posted by AsSweetAs: *
may be..... mujay kesi ne mail ke thee.... neway... thanks for correcting.. :)
[/QUOTE]
no problem.. :)