~ Samjhota ~

Agar mein kabhi
Kisi ka haath thaam kar
Hansti huwi nazar aaoon
Tu yeh mat samajhna ke
Mein ne tumhari yaadoon ko bhula diya hai
Woh pehla naqsh jo yaad ban kar
Mere dil mein jum sa gaya hai
Ajnabi qadmoon ki aamd-o-raft ne mita diya hai
Khali frame ke ander
Maslehatt ke taur per
Mein ne kisi aur ki tasver sajai tu hai
Magar tum tu jaantay ho
Meri jaan…
Jis tarah bichar jaana
Tumhari majboori ban gaya
Ussi tarah zinda rehne ke leye
Mein ne bhi wakt ke saath
Ek samjhota kiya hai …

Wonderful…:flower1:

Jis tarah bichar jaana
Tumhari majboori ban gaya
Ussi tarah zinda rehne ke leye
Mein ne bhi wakt ke saath
Ek samjhota kiya hai …

Beautiful~~ :k::k:

zaburdust amar bail sahiba :~) daad kabol kijye

bahut khoob! thanks 4 sharing!

KhamoshNigahein, Vivacious, Anchaal and TajMahal thanks a lot friends :)

VERY NICEEEEEE!! :k:

Re: ~ Samjhota ~

[QUOTE]
*Originally posted by Amarbail: *
Agar mein kabhi
Jis tarah bichar jaana
Tumhari majboori ban gaya
Ussi tarah zinda rehne ke leye
Mein ne bhi wakt ke saath
Ek samjhota kiya hai ...
[/QUOTE]

ohhhh.... these lines are so beautiful, Amarbail. Masha'Allah - you wrote this yourself? i wish i had this gift... laykin i can't write poetry at all. It's absolutely beautiful. Thank you for sharing.