**Khushhaal say tum bhi lagtay ho
Yoon afsurdaa to hum bhi naheen
Par jaan’nay walay jaantay hain
Khush hum bhi naheen khush tum bhi nahee’n
Tum apni khudii kay pahray main
Aur dam e ghuroor main jakrray hovay
Hum apnay za’am kay narghay main
Ana haath humara pakrray hovay
Ik muddat say ghaltaa’n paychaa’n
Tum rabt o guraiz kay dharoo’n main
Hum apnay aap say uljhay hovay
Pachtawoo’n kay angaroo’n main
Mahsoor e talatum aaj bhi ho
Go tum nay kinaray dhoonh liyay
Toofaa’n say sambhlay hum bhi nahee’n
Kahnay ko saharay dhoondh liyay
Khamosh say tum , hum muhar ba lab
Jag beet gaey , tak baat ki’ay
SUNOO!!!
Khail adhora chorrtay hain
Bina chal chalay , maat ki’ay
Jo bhaagtay bhaagtay thak jain
Woh sa’ey ruk bhi saktay hain
Chalo torro Qasam
Iqrar karain,
Hum donoo’n jhuk bhi saktay hain
( Khalil ullah farooqi )
**