***samay samay kii Khalish me.n teraa malaal rahe ***
***judaa_iiyo.n me.n bhii yuu.N aalam-e-visaal rahe ***
***anaa kii jang me.n ham jiit to gaye lekin ***
***phir us ke baad bahut der tak niDhaal rahe ***
***raah-e junuu.N me.n yahii zaad-e-raah hotaa hai ***
***ke justajuu ba.De divaanagii bahaal rahe ***
***hasii.n raate.n bhii mahake.n tumhaarii yaado.n se ***
***ka.De dino.n me.n bhii pal pal teraa Khayaal rahe ***
***tuu ek baar zaraa kashtiyaa.N jalaa to sahii ***
hai kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahe
nakhan
2
Re: samay samay kii Khalish
anaa kii jang me.n ham jiit to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak niDhaal rahe
tuu ek baar zaraa kashtiyaa.N jalaa to sahii
hai kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahe
beautiful...!!!
Re: samay samay kii Khalish
anaa kii jang me.n ham jiit to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak niDhaal rahe
tuu ek baar zaraa kashtiyaa.N jalaa to sahii
hai kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahe
bht khoob janab!! :)
Re: samay samay kii Khalish
Buhat achchay janab/janaba well poet ka naam bhee likh liya hota to achcha hota anyways ur collection is very good ,,,thanx 4 sharing
Re: samay samay kii Khalish
***tuu ek baar zaraa kashtiyaa.N jalaa to sahii ***
hai kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahe
Wah… Zabardast… ITs Beautiful 