**samay samay kii Khalish mein teraa malaal rahe
judaaiiyon mein bhii yuun aalam-e-visaal rahe **
**anaa kii jang mein ham jeet to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak nidhaal rahe **
**raah-e junuun mein yahii zaad-e-raah hotaa hai
ke justajuu bade divaanagii bahaal rahe **
hasiin raaten bhii mahaken tumhaarii yaadon se
kade dinon mein bhii pal pal teraa Khayaal rahe
tuu ek baar zaraa kishtiyaan jalaa to sahii
hai kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahe.
**By:Farhat Abbas Shah **
Re: Samay samay ki khalish mein teraa malaal rahey
again nice poem:-)
Re: Samay samay ki khalish mein teraa malaal rahey
ahannnnn nice wah
Re: Samay samay ki khalish mein teraa malaal rahey
Thanxs to both of u for liking.....
Re: Samay samay ki khalish mein teraa malaal rahey
very nice :k:
Re: Samay samay ki khalish mein teraa malaal rahey
wahh..
Re: Samay samay ki khalish mein teraa malaal rahey
anaa kii jang mein ham jeet to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak nidhaal rahe
nice!!! Indeed very nice
Re: Samay samay ki khalish mein teraa malaal rahey
Nice :)
Re: Samay samay ki khalish mein teraa malaal rahey
Very very nice Maham. Thanks for sharing.
Re: Samay samay ki khalish mein teraa malaal rahey
Thanks alot......
Prince ali,Eemaan,Usman,Shab e hijar & Farooq