Samay samay kee Khalish maiN tera malaal rahay
JudaaiyoN maiN bhi yuN aalam e visaal rahay
Ana kee jang maiN ham jeet to gaye lekin
Phir us ke baad bahat der tak niDhaal rahay
Raah e junooN maiN yahee zaad e raah hota hai
Ke justajoo baDhay divaanagee bahaal rahay
**
HaseeN rataiN bhi mahakaiN tumhari yaadoN say
KaDay dinoN maiN bhi pal pal tera Khayaal rahay
**
Tuu ek baar zaraa kishtiyaaN jala to sahee
Hai kyaa majaal ke ek lamha bhi zavaal rahay
Re: samay samay kee Khalish maiN tera malaal rahay
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Ana kee jang maiN ham jeet to gaye lekin
Phir us ke baad bahat der tak niDhaal rahay
**
HaseeN rataiN bhi mahakaiN tumhari yaadoN say
KaDay dinoN maiN bhi pal pal tera Khayaal rahay
**
Tuu ek baar zaraa kishtiyaaN jala to sahee
Hai kyaa majaal ke ek lamha bhi zavaal rahay
Fåŕĥāŧ Ắββằ§
[/QUOTE]
one of ma fav WG thanks 4 sharin..:)
ye hansi be aik niqaab hia ahhhh
kbhi us ka dard chupa gaye kabhi apna..:(