Samander poochta hai ab wo dono kiyun nahi aatey
Samander poochta hai ab wo dono kiyun nahi aatey
wohi dono jo bheegi rait pe
ek doosrey ka haath thaamay door tuk
kabhi hanstey,kabhi kuch gun gunaatey
ya kabhi chup chap bhaithay duur ufaq ki goodh may
rooposh honay wala sooraj dekhtey
ansoo bahatey loat jatey!!!..
Samander poochta hai ab wo dono kiyun nahi aatey
jo aatay thay to apnay saath kitnay khuwab laatey thay
kabhi sahil say dhairoon Seepiya’an chuna kertey
Nangay pao’on pani may chaley aatey
bheegi rait say nannay gharondhay bhi banatey
aur unmay seep-e-rungi’n say kuch sangreez yun sajaatey thay
kay jaisay aj kay jugnoo say lamhay
anay waaley kal ki muthhi may chupattey thay!
Samander poochta hai ab wo dono kiyun nahi aatey
phir uss nay dhair saarey khat
bohut say sookhey phool aur tasveerain
aur apnay akhri ansoo
samander kay hawaley kerdiey!..
mager samander nay khiza’n ki siski laiti hawaa
ek shaam sei wo nojawanno ko nahi dekha
jo dair tuk tanha sarey sahil bhaitha kertey the…!!!
Samander poochta hai ab wo dono kiyun nahi aatey…