By
Amjad Islam Amjad
Khuleen jo aankhain tu sar pay neela falak tana tha
Chahar jaanib sayah paani ki tund moojon ka ghalgha tha
Havaen cheekhon ko aur karrahon ko lay kay chalti theen aur mitti
Ki zard khushbo main mout mosam ka zaeqa tha
Nazar manazir main doob ker bhi misaal-e-sheesha tahi thi yaani
Gul-e-tamasha nahi khila tha
Har uss jazbon ki rah-guzar main dil taajub-zadah akaila
Khamosh , tanha bhatak raha tha
Ke ik sae ki narm aahat nay raaston ka naseeb badla
Koi ta'aluq kay chaand lehjay main apnay-pan ki ada say bola
mairay musafor udaas mat ho kay ehad-e-furqat hi zindagi hai
Yeh faaslon ki khaleej rah-e-visaal hai aur
Talab nigahon ki rooshni hai
Tamam cheezain tumharay mairay
Badan kay rishton ka silsila hain
Tumhain khabar hai kay hum
Samandar aur Aasmanon ki Inteha hain!
Wah wah P}{ä®mä©Ï§t
Thanks for sharing :)
Re: ~* Samandar , Aasman aur Main *~
Wah Wah....so lovely and deep
Re: ~* Samandar , Aasman aur Main *~
us din badal nehe hon gei werna toh safiad asman hota:p
![]()
:k:![]()
Buhat Achay:flower1:..
its beautiful pharma
zabardast!! :k:
Title and words in the poetry are put-up so well :k:
bohat khoob :k:
Thanks all of you..
Wah :k:
:k: