Salma Sings Faraz

Zindagi youn thi k jeene ka bahana tu tha
Hum faqat zaib-e-hikayat thay, fasana tu tha

Hum ne jis jis ko bhi chaha tere hijraaN mein, wo log
Aatay jatay huay mausam thay, zamana tu tha

Ab ke kuch dil hi na mana k palaT kar aatay
Warna hum dar-ba-daroN ka to thikana tu tha

Yaar-o-aghyaar k hathon mein kamanaiN thein FARAZ
Aur sab dekh rahay thay k nishana tu tha.
Salma Agha - Zindagi Yoon thi kay Jeenay ka Bahana Tu tha - Poet Ahmed Faraz - YouTube

Re: Salma Sings Faraz

Junoon e jurm e wafa baar baar hum ne kia
Teri nigaah pe kiyun aitbaar hum ne kia

hamen khabar thi shab e hijr tu na aae ga
Khuloos e dil se magar intezar hum ne kia

Ye aur baat ke khud to khizan naseeb rahe
Tujhe to shola e rung e bahar hum ne dia

Issi main teri muhabbat ki her khushi pai
Ke tere ishq main her gham se pyar hum ne kia

5:36 Junoon-E-Jurm-E-Wafa,Baar Baar Hum Ne Ki’a…!!! - YouTube

Re: Salma Sings Faraz

Yeh Soch Kar Ke Gham Ke Kharidaar Aa Gaye
Hum Khwaab Bechne Ko Sar-e-Baazaar Aa Gaye

Aawaaz De Ke Chhup Gayi Har Baar Zindagi
Hum Aise Saada Dil Thei Ke Har Baar Aa Gaye

Hum kaj Ada Chiragh Thei Jab Bhi Hawa Chali
Raaho’n Ko Chorr kar Sar-e-Deewar Aa Gaye

Sooraj ki Roshni Pe Jinhe’n Naaz Tha Faraz
Woh Bhi Toh Tere Sayaa-e-Deewar Aa Gaye

yeh soch kar k gham k khareedaar aa ga’yay - YouTube](http://www.youtube.com/watch?v=GODUtchZ2wg)

Re: Salma Sings Faraz

waahhh!! :lajawab:

Re: Salma Sings Faraz

Bohat Khoob..........

Re: Salma Sings Faraz

:hat: aap Salma ka naam padh ke aae ya Faraz ka?

Re: Salma Sings Faraz

I thinka…Salma

Re: Salma Sings Faraz

Salma ko aap jante hain?

Re: Salma Sings Faraz

Salam Aagha…? :nahi:

Re: Salma Sings Faraz

phir Salma ke naam se aap attract kiyun huwe?

Re: Salma Sings Faraz

check krnay k liya............kia kia Singa hy

Re: Salma Sings Faraz

phir kaisa singa hai?

Re: Salma Sings Faraz

PaRha hy..........suna nhi abhi........