Ek mujma-i-rangeen mein woh ghubrai howi si
bethi ha ajab naz say shermai howi si
aankhoon mein haya,lab pay hansi ayi howi si
hontoon pay fida roh-i-bahar o gul-o-nasreen
aankhoon ki chamak rookash-i-bazm-i-mah-o-perveen
perahan-i-zertar mein ek peeker-i-seemeen
Lehreen si woh leeta howa ek phool ka sehra
sehrey mein jhamakta howa ek chand sa chehra
ek rang sa rukh per, kabhi halka kabhi gehra
Her sans mein ahsas-i-farawaan ki kahani
khamooshi-i-majoob mein ek seel-i-ma.aani
jazbaat key toofan mein ha dosheeza jawani
Fitrat naye jazbat kay der khool rahi ha
mezaan-i-jawani mein usay tool rahi ha
lab sakat-o-samat hein ,nazar bool rahi ha
Sershar nighahoon mein haya jhoom rahi ha
hain raqs mein aflaq ,zameen ghoom rahi ha
sha.ir ki wafa berh kay qadam choom rahi ha
Ay to key tery dam say meri zamzama khawani
ho tujh ko mubarik yeh teri noor-jehani
afkaar say mahfooz rahay teri jawani
Chalkay teri aankhoon say sharab aur zayada
mehkeein tery aariz kay gulaab aur zayada
Allah karay zor-i-shabab aur zayada
(majaz)