Salgirah Mubarak ho Lamhay

Today is the Birthday of Lamhay … I would like to dedicate this thread to Lamhay on her birthday …

**
Chaahat ho, khushi ho tere daaman mein wafa ho
Mehki huwi ek shaam teri salgiraah ho

Is din ke tasavvur se sanwar jayain nazaaray
Is din tere qadmoon mein bikhar jayain sitaray
Is din pe meri zeest ka har lamha fida ho
Mehki huwi ek shaam teri salgiraah ho …

Hai aaj ke din meri dua ab na kabhi ho
Afsurda meri jaan tere lab na kabhi hon
Gham ki na kabhi chehra-e-janaan pe ghata ho
Mehki huwi ek shaam teri salgiraah ho …

Pur-zour hawa mein deya jalta huwa rakhay
Allah jahaan mein tujhe hansta huwa rakhay
Boujhal na kabhi nam teri palkon ki rida ho
Mehki huwi ek shaam teri salgiraah ho …

Tu bhi na ho meri tarah nakaam-e-muhabbat
Acha ho meri jaan tera anjaam-e-muhabbat
Mehboob ki aankhoon mein tumhari hi ziya ho
Mehki huwi ek shaam teri salgiraah ho …

Chaahat ke diloon se kabhi jazbaat na kam ho
Aise hi agar ho tau yeh din raat na kam ho
Allah kare umer meri tujhe ko ata ho
Mehki huwi ek shaam teri salgiraah ho … **

http://www.roboimages.com/image/ri47119/hgbdgreetingcardshb7.jpg

Re: Salgirah Mubarak ho Lamhay

Thanks alot Amarbail Jee :) ...........ap nay dil khush kardiya :)

Re: Salgirah Mubarak ho Lamhay

Nice :D Happy Birthday !!

Re: Salgirah Mubarak ho Lamhay

Many, many happy returns of the day Lamhay. Aap ko saalgirah bohat, bohat mubaarak ho... :)

Arif cake ka bohi koi band-o-bast hey ya nahi? :)

Re: Salgirah Mubarak ho Lamhay

Happy Birthday Lamhay :bb:

Allah apko hamesha Khush Rkhe :slight_smile:

Re: Salgirah Mubarak ho Lamhay

thanks Bored man , Waleed and Amal jee ............cake ka bandobast ka pata nahin :)

Re: Salgirah Mubarak ho Lamhay

Happy Belated Bday :flower1:

Re: Salgirah Mubarak ho Lamhay

shukriya shab-e-hijar :)

Re: Salgirah Mubarak ho Lamhay

saalgirah mubarak to this azeem hasti jise har section main saaligirah ki mubarak baad di ja rahi hai. wah wah subhan allah :)

Re: Salgirah Mubarak ho Lamhay

Happy birthday Lamhay :bb:

Re: Salgirah Mubarak ho Lamhay

Salgirah mobarak hu lamhay khuda keray meri umer bhi ap ko lag jae amen :) always smile and shine

Re: Salgirah Mubarak ho Lamhay

Barrey logoN ki barri baateiN hoti heiN :)

Re: Salgirah Mubarak ho Lamhay

durust

Re: Salgirah Mubarak ho Lamhay

Haye mein mar jawaa phain para de ais pyar de uttay ... :D

Re: Salgirah Mubarak ho Lamhay

Happy Belated Birthday Lamhay..:flowers:

Re: Salgirah Mubarak ho Lamhay

Amal baray logh tu sirf aap hain .....!

Re: Salgirah Mubarak ho Lamhay

Thanks every one for wishes and munir for ur dua s..... !