jumpyb
1
Tumhare khat mein naya ik salaam kis kaa tha?
Na tha raqib to aakhir wo naam kis ka thaa?
Wo qatal kar ke har kisi se poochtey hain
Ye kaam kis ne kiya hai? Ye kaam kis ka tha?
Wafa karenge nibhaaheinge baat maanein ge
Tumhein bhi yaad hai kuch ye kalam kis ka tha?
Rahaa na dil mein wo be-dard aur dard raha
**Muqeem kon hua hai maqaam kis ka tha
**Na pooch-gach thi kisi ki wahan na aao-bhagat
Tumhaari bazm mein kal ehtamaam kis kaa tha
Tamam bazm jise sun kar reh gai mushtaaq
Kaho wo tazkara na-tamaam kis ka tha?
Guzar gaya wo zamana, kahoon to kis se kahon
Khayal dil ko mere subh-o-shaam kis ka tha…?
Re: salaam kis kaa tha? - by Daag Dehlvi
King of Ghazal Ghulam Ali sb nay iss ko ga kar amar kar dia hay :k:
Re: salaam kis kaa tha? - by Daag Dehlvi
bold wali line pe zor kiyun?
Re: salaam kis kaa tha? - by Daag Dehlvi
budhi rooh 
jumpyb
5
Re: salaam kis kaa tha? - by Daag Dehlvi
yes correct.. one of my fav Ghazal…:k:
jumpyb
6
Re: salaam kis kaa tha? - by Daag Dehlvi
raaz ki baat…
Re: salaam kis kaa tha? - by Daag Dehlvi
Even Indian’s love Ghulam Ali ghazal’s more then any one.
KKF
8
Re: salaam kis kaa tha? - by Daag Dehlvi
ustaadoN ke kalaam ke kia hii kahne…
yeh design Ghazal bhii dekh lijiye:
Restored attachments:
jumpyb
9
Re: salaam kis kaa tha? - by Daag Dehlvi
KKF bahi... kya haal ehwaal haan??? aap k kaam bana k nahi??
KKF
10
Re: salaam kis kaa tha? - by Daag Dehlvi
Allah ka karam hai…aap sunaaiye…kaun saa kaam?
kahiiN ‘US’ waale kaam kaa to tazkirah nahiiN? 
Re: salaam kis kaa tha? - by Daag Dehlvi
India walon ne to kahir Kimmi Katkar se leke Veena Malik sab ko sir aankhon pe bithaya huwa hai. BaRa mulk hai to choices bhi vary karti hain 
KKF
12
Re: salaam kis kaa tha? - by Daag Dehlvi
Kimi KaTkar Pakistani thii?
Re: salaam kis kaa tha? - by Daag Dehlvi
Khuda na khasta 
Re: salaam kis kaa tha? - by Daag Dehlvi
Sober loog aka mairay jaisay aisi he moseeqi pasand kartay hain 
Re: salaam kis kaa tha? - by Daag Dehlvi
aap nay golli marni hay 
Re: salaam kis kaa tha? - by Daag Dehlvi
agar main aap ko ye kahoon ke Zaradri ki bhi ye pasandeeda Ghazal hai to? 
Re: salaam kis kaa tha? - by Daag Dehlvi
Nahin.. Kaari kar ke marna hai 
Re: salaam kis kaa tha? - by Daag Dehlvi
uss ko kabhi dance kartay daikha hay kia
woh sober banda hay sub politicians say
I was PSF General Secretary in my college life
Re: salaam kis kaa tha? - by Daag Dehlvi
Nahin.. Kaari kar ke marna hai :p
khari kar kay likha hay kia :p
KKF
20
Re: salaam kis kaa tha? - by Daag Dehlvi
kiuN bhai? kia vo achchhii nahiiN thii? 