Sakoot-e-jaaN ka mutlub batado phir chalay jana

** Sakoot-e-jaaN ka mutlub batado phir chalay jana Ya phir sargoshiaN dil ki suna do phir chalay jana

Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay maiN
Ussay poori tarah say tum bhulado phir chalay jana

YaN saaray paiR poday tum bin ek rut jaagay haiN
Tum aakay ek baar inko sulaado phir chalay jana

Kisi ko chahnay ka aur kisi say chahay janay ka
Jo hay ehsaas tum usko bhulado phir chalay jana

Bus ek murda hansi say apnay ashko ko chupanay ka
Jo fun aata hay tum ko, wo shikhado phir chalay jana

Wo jo aik lafz ulfat hay, juda hay apnay maanay say
Bus in alfaz o manay ko milado phir chalay jana

Jo kahtay kahtay ruk gay un sari bato ki
Samaat ko talab hay wo sunado phir chalay jana

Na janay kyoN hay lakin dhekhnay ki tum ko aadat hay
Meri ya baywaja aadat chuRa do phir chalay jana

Meray in roz-o-shub ka ek fakat unwan bus tum ho
Mujhay tum doosra unwan laado phir chalay jana…
**

Very nice.....

:k: nice one

very nice :k:

*Meray in roz-o-shub ka ek fakat unwan bus tum ho
Mujhay tum doosra unwan laado phir chalay jana..... *

wow very nice :)

Beautiful , kia seletion hay … kia rawani hay ..Wallah maza agiya

Thannks for sharing

:k: :k:

Nice :k:

very interesting:k::k:
keep posting:flower1:

Re: Sakoot-e-jaaN ka mutlub batado phir chalay jana

[QUOTE]
Originally posted by WiseGuy: *


*

Sakoot-e-jaaN ka mutlub batado phir chalay jana
Ya phir sargoshiaN dil ki suna do phir chalay jana

Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay maiN
Ussay poori tarah say tum bhulado phir chalay jana

YaN saaray paiR poday tum bin ek rut jaagay haiN
Tum aakay ek baar inko sulaado phir chalay jana

Kisi ko chahnay ka aur kisi say chahay janay ka
Jo hay ehsaas tum usko bhulado phir chalay jana

Bus ek murda hansi say apnay ashko ko chupanay ka
Jo fun aata hay tum ko, wo shikhado phir chalay jana

Wo jo aik lafz ulfat hay, juda hay apnay maanay say
Bus in alfaz o manay ko milado phir chalay jana

Jo kahtay kahtay ruk gay un sari bato ki
Samaat ko talab hay wo sunado phir chalay jana

Na janay kyoN hay lakin dhekhnay ki tum ko aadat hay
Meri ya baywaja aadat chuRa do phir chalay jana

Meray in roz-o-shub ka ek fakat unwan bus tum ho
Mujhay tum doosra unwan laado phir chalay jana.....
**
[/QUOTE]

nahi jain gain tu kia karo gaye wG....bohat achi thanks 4 sharing..:)

Re: Re: Sakoot-e-jaaN ka mutlub batado phir chalay jana


OK, Jenab agar jatay nahee tu ruK jayeN hum apnay alfaaz wapis ley letay.

[QUOTE]
*Originally posted by NikamiJano: *
nahi jain gain tu kia karo gaye wG....bohat achi thanks 4 sharing..:)
[/QUOTE]

bahut khoob Wg gr8 one thanks 4 sharing!

Re: Sakoot-e-jaaN ka mutlub batado phir chalay jana

bhae mere urdu dictionary nehe mil rehe bad mei batah du ge:hehe:

bhut khooobb :k: