Sakhawat Ka Namood-Afrooz, Manzar Hi Nahi Aaya

**Sakhawat Ka Namood-Afrooz, Manzar Hi Nahi Aaya
Sakhi Bethay Rahay, Koi, Gada’gar Hi Nahi Aaya

Ye Soocha Tha Teri Khaatir, Koi Moti Nikalon Ga
Main Jis Rastey Mein Tha Is Mein, Samandar Hi Nahi Aaya

Pahan Kar Aainay Phirti Rahi Dewaangi Apni
Tamana Thi Bohat Jis Ki Wo Pather Hi Nahi Aaya

Baharein, Bailain, Jharay Patay, Lagay Jaalay Dareechon Par
Makeen Aisa Gaya Ghar Se Palat Kar Hi Nahi Aaya

Chamak Jis Ki Bula Laiti Uqaabon Ko Nasheman Se
Fizaaon Mein Koi Aisa Kabooter Hi Nahi Aaya

Dafenoon Ki Tarha Dil Mein Khazanay Rah Gaye Saaray
Samandar Kya Karay, Koi, Shanawar Hi Nahi Aaya

Diya Hi Jab Nahi Ho Ga Hawa Kis Ko Bhujaey Gi
Chiraag-E-Rah, Main Ab K, Jala Kar Hi Nahi Aaya**

Re: Sakhawat Ka Namood-Afrooz, Manzar Hi Nahi Aaya

Tough urdu :hayaa:

Re: Sakhawat Ka Namood-Afrooz, Manzar Hi Nahi Aaya

Itni bhi nahi…:hayaa:

Re: Sakhawat Ka Namood-Afrooz, Manzar Hi Nahi Aaya

**Chamak Jis Ki Bula Laiti Uqaabon Ko Nasheman Se
Fizaaon Mein Koi Aisa Kabooter Hi Nahi Aaya

Dolly Bindra yaad aa gai. totay uda doongi
**

Re: Sakhawat Ka Namood-Afrooz, Manzar Hi Nahi Aaya

pehle jumle mai he tough aa gaye :frowning: