Saja do naya koi oor aassmaan ab to

Hawa lay aao khushbu e yaar ab to
Mudat howi hay be-rukhai ko ab to

Ddhondd’ta rahon sitara pyar ka shab bhar
Saja do naya koi oor Aassmaan ab to

Adab Arz
(Azad)

Beautiful....

aab aur asmaan kahan say aya.... dua karoo

Ddhondd'ta rahon sitara pyar ka shab bhar
Saja do naya koi oor Aassmaan ab to........

wah...kia kahnay

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Beautiful....

aab aur asmaan kahan say aya.... dua karoo
[/QUOTE]

Dilsay Jee .. bhari dunia main jee nahi lagta
Jany kiss cheez ki kami hay abhi

:(

[QUOTE]
*Originally posted by baziger: *
Ddhondd'ta rahon sitara pyar ka shab bhar
Saja do naya koi oor Aassmaan ab to........

wah...kia kahnay
[/QUOTE]

Zara Nawazi hay Baziger jee

wah jee wah… kya baat hai… bouhat achy :k:

zabardast:k:

AsweetA .. nawazish
Galaxy .. shukria

:rolleyes: :mudhosh:

hmmm chunghi hia..:slight_smile:

really nice.
bohat pasand aaya azaad jee. :flower1:

Hota hota hay …aaj itni bhi moyasar nahi maykhanay main…
jitni keh hum chorr dia kartay thay paymanay main

woh aain weeranay main humaray .. allah allah
Jee aap ka anna hi bohut hay … aap ko pasand aya Azad :wink: .. humain bhi kabhi kabhi acha lagnay lagta hay … par behooda bohut hay :smiley:

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

Dilsay Jee .. bhari dunia main jee nahi lagta
Jany kiss cheez ki kami hay abhi

:(
[/QUOTE]

Chalain aap ko duniya to bhari howee nazar ati hai... hamaray liya tu ya khali hai....

jahan tak kami ka sawal hai...

Koyee zindagi asi la doo jis main kami na hoo
kaheen mohabat kee kami tu kaheen sansoon kee

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *

Chalain aap ko duniya to bhari howee nazar ati hai... hamaray liya tu ya khali hai....

jahan tak kami ka sawal hai...

Koyee zindagi asi la doo jis main kami na hoo
kaheen mohabat kee kami tu kaheen sansoon kee
[/QUOTE]

haan yeh bhi hay .. gul gay gulshan gay .. kado karaylay reh gay .. woh bhi bohut saray ;)