Saiyan laa de pan supari, beeda mein banvaoongi,
Kattha aur kimam laga ke, munh apna bichkaoongi,
Bahoot dari duniya walo se, ab mein roop dikhaoongi,
Ek ghodi laa de mujhko, mein talwar chalaoongi,
Is parde mein rahte rahte mera to dam ghut ta hai
Parda cheer ke ab maathe par apni laten ghumaoongi
Usne jo ye husn diya hai , wo sabko dikhlaoongi,
mein kyon daroon duniya walo se, ab mein unhe daraoongi
Mardon ki hai duniya saari, Aurat chulha fooke kyon
Roti saiyan tu pathega, mein to baith ke khaoongi,
Saas nanad ke taane gaali court mein pahoochaoongi,
Pyare saiyan saath tera ho sabko maje chakhaoongi
Re: Saiyan laa de pan supari
kamal kar rahay khan g, paan supari se shuru kar k dhamkiyoon pe khatam!!