KKF
1
salaam dosto
ummeed hai k mizaaj e giraamii ba_Khair hoNge.
ek Ghazal jo Khaasii puraanii hai pesh-e-Khidmat hai. ummeed hai k pasand aayegii…apnii aaraa o islaaHaat se bil_zaroor navaaziyegaa. shukria
faqat Khaak-e-paa
_______KKF**
jisko milaa nahiiN hai yeh rusvaaiyoN kaa dard
kyaa jaane vo hai kyaa tire saudaaiyoN kaa dard
**
**2.
aaye haiN jab se shehr meN ham gaaoN chhoR kar
Dasne lagaa hai ruuh ko tanhaaiyoN kaa dard
**
**3.
us phuul jaise jism se dekho to puuchh kar!
kitnaa lazeez hotaa hai aNgRaaiyoN kaa dard
**
**4.
ta’b itne aaiinoN kii bhalaa kaun laayegaa
kisse uThaayaa jaayegaa parchhaaiyoN kaa dard
**
**5.
baalaa-e-bai’hr uR ke guzar jaayeNge hamsafar
samjhegaa kaun bai’hr kii gai’hraaiyoN kaa dard
**
**6.
barbat, robaab_o_chaNg ke saazoN ko chheR kar
ghul jaayegaa fazaaoN meN shai’hnaaiyoN kaa dard
**
7.
simTaa to raNg_o_nuur ke paikar meN Dhal gayaa!
“Sai’hbaa!”, mire Khayaal kii ra’naaiyoN kaa dard
Re: “Sai’hbaa!”, mire Khayaal kii ra’naaiyoN kaa dard…merii ek Ghazal
Achi hai :k:
KKF
3
Re: “Sai’hbaa!”, mire Khayaal kii ra’naaiyoN kaa dard…merii ek Ghazal
thankoo…kia ‘dard’ se bhii achchhii hai? 
Re: “Sai’hbaa!”, mire Khayaal kii ra’naaiyoN kaa dard…merii ek Ghazal

Dard se milana theek nhi hai isay 
KKF
5
Re: “Sai’hbaa!”, mire Khayaal kii ra’naaiyoN kaa dard…merii ek Ghazal
aaaawwwww…to, kisii moHtaramah se milvaa duuN? 
Re: “Sai’hbaa!”, mire Khayaal kii ra’naaiyoN kaa dard…merii ek Ghazal

mehrbani 
KKF
7
Re: “Sai’hbaa!”, mire Khayaal kii ra’naaiyoN kaa dard…merii ek Ghazal
ab maiN raat gaye kahaaN jaauuN moHtaramah talaash karne…sochtaa huN kal Girl’s College jaa kar kisii ko thamaa aauuN!

Re: “Sai’hbaa!”, mire Khayaal kii ra’naaiyoN kaa dard…merii ek Ghazal
tauba hai kahan phans gye 
KKF
9
Re: “Sai’hbaa!”, mire Khayaal kii ra’naaiyoN kaa dard…merii ek Ghazal
to, ab nikalne kii koii tadbeer nikaaleN! 