Teri tarap say na tarpa tha mera dil laikin
Teray sukoon say baycahin hogaya hoon main
Yeh jan kar tujhay kia janay kitna gham pohnchay
Kay aaj teray khayaloon main khow gaya hoon main
many of Sahir ludhyanvi's ghazals/nazams were inducted as songs in famous movies.
Anyhow, I found this one very thought provoking...
Loug aurat ko faqat jism samajh laitay hain
Rooh bhi hotee hai us main kahan soochtay hain
Rooh kia hotee hai us say unhain matlab he naheen
Rooh mar jai tow har jism hay chaltee hui lash
Is haqeeqat ko na samajhatay hain na pehchantay hain
Kitni sadyoon say yeh wehshat ka chalan jari hai
Kitni sadyoon say hai qayam yeh gunahoon ka rivaaj
Loug aurat ki har ik cheekh ko naghma samjhain
Woh qabeelon ka zamana how kay shehroon ka samaaj
Jabr say nasal barhay zulm say tan mail karay
Yeh amal hum main hai bay ilm parindoon main naheen
Hum jo insaanoon ki tehzeeb liyay phirtay hain
hum sa wehshee koi jangal kay darindoon main naheen......
Log aurat ko faqat jism samajh letey hain.. meri bhi fav poem hai GS sahab.. Isski missing lines paish-e-khidmat hain..
Ik bujhti rooh lutey jism ke dhaanchey mein liye
Sochti hoon main kahan jaa ke muQaddar phoroon
Main na zindah hoon ke marne ka sahaara dhundoon
Aur na murdah hoon ke jeeney ke ghamon se chutoon
Kaun batlaaye ga mujhko kisey jaa kar puchoon!
Zindagi Qehar ke saanchon mein dhaley gi kab tak
Kab talak aankh na kholey ga zmaane ka zameer!
Zulm aur jabr ki yeh reet chaley gi kab tak......
kon jaanay mairay imroz ka farda kya hay
qurbatain barrh kay pashemaan bhi ho jaati hain
dil kay daaman say lipti huwi rangeen nazrain
daikhtay daikhtay anjaan bhi ho jaati hain