- Yunhi dil ne chaaha thha rona rulaana
Teri yaad to ban, gaee ek bahaana
From Dil Hi To Hai
-
Ye mehlon, ye taqton ye taajon ki duniya
Ye insaan ke dushman, samaajon ki duniya
Ye daulat ke bhooke rawaajon ki duniya
Ye duniya agar mil bhi jaae to kya hai -
Jahaan ek khilona hai insaan ki hasti
Ye basti hai murda paraston ki basti
Jahaan jeevan se hai maut sasti
Ye duniya agar mil bhi jaae to kya hai
From Pyaasa
-
Tanha na kaT sakenge jawaani ke raaste
Pesh aaegi kisiki zarurat kabhi kabhiPhir kho na jaaen hum kahin, duniya ki bheeR me
Milti hai paas aane ki mauhlat kabhi kabhi
From “Milti hai zindagi me mohabbat kabhi kabhi…” (Aankhen)
- BichhaRgaya har saathi dekar pal do pal ka saath
Kisko fursat hai jo thhaame diwaanon ka haath
Humko apne saaya tak, aksar bezaar mila
Humne to jab kaliyaan maangi, kaanTon ka haar mila
From “Jaane woh kaise log thhe jinke, pyaar ko pyaar mila…” (Pyaasa)
-
Hum jurm-e-mohabbat ki saza paaenge tanha
Jo tujhse hui ho woh quata saath lie jaTapti hui raahon se, tujhe aanch na pahunche
Diwaane ke ashkon ki, ghaTa saath lie ja
From “Barbaad mohabbat ki dua saath lie ja…” (Laila Majnu, new)
- Sansaar se bhaage phirte ho, Bhagwaan ko tum kya paaoge
Is lok ko bhi apna na sake, us lok me bhi pachtaaoge
From Chitralekha
-
Bhoole se mohabbat kar baiTHa, naadaan thha bechara dil hi to hai
Har dil se quata ho jaati hai, bigRo na KHudaara dil hi to haiIs tarha nigaahen mat phero, aisa na ho dhaRkan ruk jaae
Seene me koi pathhar to nahin, ehsaas ka maara dil hi to haiBedaadgaron (?) ki THokar se, sab KHwaab suhaane choor hue
Ab dil ka sahaara GHam hi to hai, ab GHam ka sahaara dil hi to hai -
Ilm nahin thha itni jaldi, quatm fasaane ho jaenge
Tum begaane ban jaaoge, hum diwaane ho jaaenge
Kal baahon ka haar mila thha, aaj ashkon ka haar pukare
From “Aaja aaja re, tujhko mera pyaar pukaare…” (Gumraah)
- Taaruf rog ho jaae to usko bhoolna behtar
Taaluq bojh ban jaae to usko toRna achha
Woh afsaana jise anjaam tak, laana na ho mumkin
Use ek KHoobsoorat moR dekar, chhoRna achha
From “Chalo ek baar phirse, ajnabi ban jaaen hum dono…” (Gumraah)
: ![]()
When was i for real?
I am myself a dream ![]()
I always see you
watching me tenderly ![]()