Sagar Azmi

Jism Toh bohat sanwar chukay, ru’uh ka singhar kijiye
Phool Shaak se na toriyeh , kushbo’un se pyar kijiye

Aaftab chup gaya toh kya, subhe nau zaroor aaigee
Shart hai yahi kay waqt ka, tohra intizar kijiye


Aasi nahi hai baat kay kad apnay ghat gaeey
Chaadar ko apni dek kar ham khud simat gaeey

Jab haan’t may kalam tha toh alfaz hi na thay
Ab lafz mil gaey toh meray haanth kat gaeey