aabaad is jahaan main hue hum nahi to kia
gham apni zindagi se hue kam nahi to kia
har raat sulagtey rahey yadoon ki aag main
dil ro raha hai aankh hai purnum nahi to kia
toofaan main ghri hia meri kashtiye hayaat
sahil pe le he aayiange saalim nahi to kia
khone jigar bhi dekey sajaainge hum chaman
deyainge usey bahaar hum mausam nahi to kia
waqate safar hai mera koi karwaan nahi
yadaain hain mere saath meri tum nahi to kia
dil ko sakoon mil gaya khush tum ko dekh kar
tum ko mila to koi chalo hum nahi to kia