**safar mein reh ke aashob se na dar jaana
miley jo aag ka darya to paar kar jaana
ye ik ishaara hai aafaat e na’gahaani ka
kissi jagah se parindoN ka kooch kar jaana
ye inteqam hai dasht e bala se baadal ka
samandaroN pe baraste huay guzar jaana
tumhaara qurb bhi duuri ka ista’aara hai
ke jaise chaand ka taalaab mein uttar jaana
hum apne ishq ki ab aur kya shahadat deN
hameN hamaare raqeeboN ne mo’tabar jana
mere yaqeeN ko baRa bad-gumaan kar ke gaya
du’aey neem shabi tera be-asar jaana
hamaare dam se hi aawargi e shab thi hameN
ajeeb lagta hai ab shaam hi se ghar jaana
zamaana beet gaya tark e ishq ko “Tishna”
magar gaya na hamaara idhar udhar jaana !**