**
safar-e-manzil-e-shab yad nahi**
log rukhsat huye kab yad nahi
dil main har waqt chubhan rahti thi
thi mujhe kis ki talab yad nahi
wo sitara thi ke shabnam thi ke phool
ik surat thi ajab yad nahi
aisa uljha hun gam-e-duniya main
ek bhi khwab-e-tarab yad nahi
bhulte jate hain mazi k dayar
yad ayen bhi to sab yad nahi
ye haqiqat hai k ahbab ko ham
yad hi kab the k ab yad nahi
yad hai sair-e-charagan Nasir
diye k bujhnay ka sabab yad nahi…!