Safar-e-manzil-e-shab yaad nahin

**Safar-e-manzil-e-shab yaad nahin
Log rukhsat huye kab yaad nahin

Dil mein har waqt chubhan rehti thi
Thi mujhe kis ki talab yaad nahin

Woh sitara thi k shabnam thi k phool
Ek surat thi ajab yaad nahin

Aisa uljha hun gham-e-duniya mein
Ek bhi Khwaab-e-tarab yaad nahin

Bhulate jaate hain maazi k dayaar
Yaad aayein bhi to sab yaad nahin

Yeh haqeeqat hai k ahbaab ko hum
Yaad hi kab the k ab yaad nahin

Yaad hai sair-e-charagan “Nasir”
Dee’on ke bujhane ka sabab yaad nahin…**

2 Likes

Re: Safar-e-manzil-e-shab yaad nahin

Ay Khouda mujh say na lay mere gunahon ka hisaab

hummm

2 Likes

Re: Safar-e-manzil-e-shab yaad nahin

mere pass ashk e nadamat k siwa kuch bhi nahi

Re: Safar-e-manzil-e-shab yaad nahin

very nice

Re: Safar-e-manzil-e-shab yaad nahin

***itna manoos na ho khilwat-e-gham se apni, BEHRI_BEE
tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jayega....


Re: Safar-e-manzil-e-shab yaad nahin

Bohat khoob Behri_Bee...