~*~ Safar abhi tau zara sa kiya hai tere baghair ~*~

*Kahaan kahaan se samaitoon shikasta khwaboon ko Ke zabt-e-gham ka saleeqa nahe hai aankhoon ko

Ajab bahar-e-khizan hai chaman mein ab ki bahar
Hawa urrati phirri meri khuwhs pattoon ko

Safar abhi tau zara sa kiya hai tere baghair
Abhi tau rona bahut hai udaas aankhoon ko

Abhi tu umer ka yeh dasht paar karna hai
Chirag karna hai kuch be-chirag raatoon ko

Woh raasta bhi ajjab thaa woh hamsafar bhi kamal
Jo mujh ko saunp gaya sar-phirri hawaoon ko

Ke jin ko kaat dain khud mauj-e-bahaar ke hath
Sajaye kaun phir aisi bureedah shaakhoon ko

Chamaki jati hain aur bheegti bhi jaati hain
Hunar yeh kis ne sikhaaya hai meri palkoon ko

Mein bhool jati hoon har subha tera naam magar
Mein yaad karti hoon har raat teri baatoon ko …

Re: ~~ Safar abhi tau zara sa kiya hai tere baghair ~~

very nice

Re: ~~ Safar abhi tau zara sa kiya hai tere baghair ~~

Very Nice …:k:

Re: ~~ Safar abhi tau zara sa kiya hai tere baghair ~~

Thank you ...

Re: ~~ Safar abhi tau zara sa kiya hai tere baghair ~~

buhut khoob :)

Re: ~~ Safar abhi tau zara sa kiya hai tere baghair ~~

Thanks Daanie

Re: ~~ Safar abhi tau zara sa kiya hai tere baghair ~~

nice sharing

Re: ~~ Safar abhi tau zara sa kiya hai tere baghair ~~

Thank you Sannan