Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

Re: Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

:konfused:

Re: Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

Ek Pakistani ka shikwa hai jo Arabs ko apne aabao ajdad samajhta hai, lekin Arabs usse ghaas nahin daalte

Re: Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

kha ma kha me hi :cb:

Re: Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

Inferiority complex ke maare log

Re: Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

Pakistan mein kafi qaba'il aisy hain jin k abao ajdad arab se aa k yahan abad ho gay

Re: Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

phir? jab aap ki kai naslen ek jagah palli baRhi hon to uss zameen ko dil se own karden.. aise hi to nahin kehte ke 'peeche dekhne wale pathar ke ho jate hain'

Re: Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

jo apnay maazi ko bhol jaey us ka mustaqbil acha nahin ho sakta

Re: Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

magar jo apne haal ko own na kare uska bhi koi mustaqbil nahin hota

Re: Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

haal to aik bridge hai aap k maazi aur mustaqbil k darmian

Re: Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

iss bridge per paon jamana zaroori hai, kiyunke kal yeh bridge aap ko mustaqbil main le jae ga aur aap ki agli generations ka mazi kehlae ga

Re: Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

haal kya hai,guzra hoa har second aap ka maazi hai,aur agla second aap ka mustaqbil

Re: Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

copmlex na hua to KAWWA chitta HO JAEGA :hehe:

Re: Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

right.. phir recent past ke bare main sochna behtar hai na ke hazaron saal pehle ke past ko soch kar apne current status aur uss zameen ko kam tar samjhna jis ne aap ki kai naslen paali hon

Re: Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

ye complex bare baRe logon main hai…

Re: Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

ager koe kala hy orr koe koe gora hy to complex kese hua

Re: Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

kamtar to us zameen ko bhi nahin samajhna chaheay,jahan aap kabhi abad hoay hi nahin

Re: Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

kale gore ko nahin… hum sab jante hain ke partition ke waqt lakhpati kakh pati hogae the… aur chooRe chamar Syed o Qureshi… ab ussi complex se log nahin nikal pae.. wo zameen jis ne unki naslen pali wo kamtar hai aur Arab ke sehr bala o bartar :smack:

Re: Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

exactly.. khuda ki banai koi cheez kamtar nahin.. lekin jis zameen se mere munh ka niwala aata hai, wo sab se bartar hai

Re: Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

Arab k kuch shehr agar bala o bartar hain to kisi nisbat se,is leay nahin k meray aba o ajdad wahan se aye hain

Re: Safa o Marwa main aabad qabeela mera tha

uss nisbat se inkar nahin..... apni dharti ki shanakht ko rad karne per hai.. Islam apni dharti se taluq toRne ko nahin kehta