**
Sadyon se ik sapna ha,
****kaho pura kro gey tum..?
**
**Bhool jao mere siwa sub kch,
**
**kaho aisa karo gey tum..?
**
**Nai kch or tmana ab,
**
**k bus mere ho jao tum,
**
**kabi na chor k jao gey
**
**kaho aisa karo gey tum..?
**
**Faqt ik lafz sun,ne ko barso se tarsy hain,
**
**MUJHY APNA BANA LO TUM..!
**
**Kaho aisa Karo gey tum…?
**
Re: Sadyon se ik sapna ha…
badlo main kia mile ga, pehle ye to pata chala.. cost vs benefit analysis. negative NPV investment na ho ye 
Re: Sadyon se ik sapna ha…
Kia hum Karobaar kr rahay hyn…?
her jaga maali mafadaat:teary2:
Mohabbat mein nafa Nuqsaan nhi daikha jaata…
Re: Sadyon se ik sapna ha…
larki k walid sb ka paisa or larkay ka bank balance dekha jata hai
Re: Sadyon se ik sapna ha…
her rishte ke beech tarazzo hai aaj kal…
Regashwari ka gana nahin suna:
iss hath de iss le le yehi pyar ka hai dastoor
Re: Sadyon se ik sapna ha…
acha.. life1 crowd kehta hai aajkal ki ladies khud kamati hain khud khati hain.. unhe patti parmeshwar ke paise se gharz nahin
Re: Sadyon se ik sapna ha…
Muqa Bro Bank mein hyn…
Fake account show krwa donga…
Re: Sadyon se ik sapna ha…

Dastoor badal Daalo…
Re: Sadyon se ik sapna ha…
shahbaz shareef ki tarah gao: main nahin manta main nahin manta
Re: Sadyon se ik sapna ha…
Takhliya mein to sab maan lyty hyn…jitny bhi shareef hon:p