Sadma to hai mujhe bhi ke tujhse juda hun main

Sadma to hai mujhe bhi ke tujhse juda hun main

lekin ye sochta hun k ab tera kya hun main

Bikhra para hai tere hi ghar mein tera wajud
bekar mahfilon mein tujhe dhundta hun main

Main khudkashi k jurm ka karta hun aitarab
apne badan ki qabr mein kabse gara hun main

Kis kis ka nam laaun zaban par k tere sath
har roz ek shakhs naya dekhta hun main

Na jane kis ada se liya tu ne mera naam
duniya samajh rahi hai k sab kuch tera hun main

Le mere tajurbon se sabak ae mere raqeeb
do char saal umer mein tujhse bara hun main

Jaaga hua zaamer wo aaina hai “Qateel”
sone se pahale roz jise dekhta hun main

Re: Sadma to hai mujhe bhi ke tujhse juda hun main

Nice. :k:

Re: Sadma to hai mujhe bhi ke tujhse juda hun main

very nice :k: