meri ishq deti sadaa tujhe
kabhi khamoshi meri sun jaa
tujhe dhadkano mein basa lun main
mere wajood mein aa utar jaa
tujhe khwaab bana ke basa lun main
mere ruh ke mehke chaman mein aa
tujhe manzilon sa taraash lun
mere naqshe-e-paa mein simat jaa aa
tujhe husn-e-paikar ka khitaab dun
meri churdiyon mein tu rang jaa
teri saari khusbu samet lun
meri jism mein tu bikhar jaa.
I have not had any formal urdu training magar koshish kar ke likhti hun. Agar kahin galtiya ho toh koi shauk se correct karde. Khwaab hone chahiye kuch dil mein- chahe muqammal, chahe adhure, chahe bikhre, chahe na muyassar hi sahi. Kyun ke jin dilon mein khwaab nahi hote wo dil marr jaate hain…kya khayal hmmm?![]()