Sochti hon...
Shehron main moti moti deevarain hoti hain..
Aur unkay beech baray baray darvazay
Aur un darvazon per..
Motay aur dabeez parday..
Dil ka haal kon , kis ko aur kaise sunae..?
Jahan asli phool qabron per daltay hon…
Aur naqli phool guldanon ki zeenat bantay hon..
Tu sachi mehkaar ghar kay maqeenon ko kaise aae..?
Sajan!!
Mujhay mitti kay gharoonday main hi basnay do
Jahan gili mitti phool se mehkaar day..
Jahan koyal kook sajan ka sandhyaar day..
Jahan faaslay hon na dorian..
Jahan suhaag kay joray Phenyle ki golian na pehanti hon
Jahan khushyan ahh na banti hon..
Jahan tum main .. “Main” hi rehti hon..
Sochti hon...
Shehron main moti moti deevarain hoti hain..
Aur unkay beech baray baray darvazay
Aur un darvazon per..
Motay aur dabeez parday..
Dil ka haal kon , kis ko aur kaise sunae..?
Jahan asli phool qabron per daltay hon...
Aur naqli phool guldanon ki zeenat bantay hon..
Tu sachi mehkaar ghar kay maqeenon ko kaise aae..?
Sajan!!
Mujhay mitti kay gharoonday main hi basnay do
Jahan gili mitti phool se mehkaar day..
Jahan koyal kook sajan ka sandhyaar day..
Jahan faaslay hon na dorian..
Jahan suhaag kay joray Phenyle ki golian na pehanti hon
Jahan khushyan ahh na banti hon..
Jahan tum main .. "Main" hi rehti hon..