Sabhi nay yun to kiya tajziya Mohabbat ka

**
Sabhi nay yun to kiya tajziya Mohabbat ka**
Kisi say hal na hua masla Mohabbat ka

Woh jis kay hijr mein rona, usey dua deyna
Samajh mein nhi aata falsafa Mohabbat ka

Na janey kitni hi ankhein chalak jati hain
kisi bazam mein ho ager tazkara Mohabbat ka

Tammam umer tum khushi ko tarsoo ge
Na azmana kabhi hosla Mohabbat ka

Re: Sabhi nay yun to kiya tajziya Mohabbat ka

Yeh muhabbat riyaazi ka kabhi na hal honay wala savaal ...

Re: Sabhi nay yun to kiya tajziya Mohabbat ka

mohabbat na hoe koe bhool bhulayan hai kya

Re: Sabhi nay yun to kiya tajziya Mohabbat ka

^Shetaan ki aant

Re: Sabhi nay yun to kiya tajziya Mohabbat ka

waisat aaj tak kisi ne shetaan ki aant dekhi hai kya?