Sabhi nay yun to kiya tajziya Mohabbat ka

**Sabhi nay yun to kiya tajziya Mohabbat ka
Kisi say hal na hua masla Mohabbat ka

Woh jis kay hijr mein rona, usey dua deyna
Samajh mein nhi aata falsafa Mohabbat ka

Na janey kitni hi ankhein chalak jati hain
kisi bazam mein ho ager tazkara Mohabbat ka

Tammam umer tum khushi ko tarsoo ge
Na azmana kabhi hosla Mohabbat ka**

Re: Sabhi nay yun to kiya tajziya Mohabbat ka

**Woh jis kay hijr mein rona, usey dua deyna
Samajh mein nhi aata falsafa Mohabbat ka

muhabbat baRi puththi cheez ae
**