sabhi kuch hai tera diya hoa, sanhi rahaten sabhi kulfaten
kabhi sohbaten kabhi furqaten, kabhi dooriyan kabhi qurbaten
yeh sukhan jo hum nay raqm kiye sub hain warq teri yaad kay
koi lamha subh-e-wisal ka kai shaam-e-hijr ki qurbaten
jo tumahari maan lain naseha tu bache ga daman-e-dil main kiya
na kisi udo ki adawaten na kisi sanam ki murrawaten
meri jaan aaj ka ghum na kar ke na jane katib-e-waqt ne
kisi aapne kal main bhi bhool kar kahin likh rakhi ho mussarraten
(Faiz Ahmed Faiz)