sabaq_aamoz ash'aar...aise ash'aar jis meN koi wisdom chhupi ho

**salaam dosto,

aaj maiN jis laRii kaa aaGhaaz kar rahaa huN us men bas aapko sirf yeh karnaa hai k is meN aise ash’aar raqam kijiye jis meN koi Hikmat ho, koi naseeHat ho, koi achchhii baat kahii gaii ho…so, bismillah kijiiye:

kii MoHammad [s.a.w.s.] se vafaa tu ne to Ham tere haiN
yeh jahaaN cheez hai kia, lauH o qalam tere haiN :slight_smile:

thank you

faqat Khaadim-e-urdu
_______Hashmat**

Re: sabaq_aamoz ash'aar...aise ash'aar jis meN koi wisdom chhupi ho

Zindagi zinda dili ka nam he
murda dil bhi kia khak jia karte hen

Re: sabaq_aamoz ash'aar...aise ash'aar jis meN koi wisdom chhupi ho

Nahi Tera Nasheman Qisare Sultani ke Gumbad per
Tu Shaheen Hai Basera kar Pahadon ki Chatton per

**
waah bhai waah, isii par maiN ne ek parody banaaii thii:

zindagii murda dili kaa nama hai
zinda dil kia Khaak jiyaa karte haiN :)**
<!--Session data-->

**
bahooot Khoob janaab, bahooot Khoob! thoRaa saa roman urdu kii likhaavaT saHeeH kartaa huN kiuN k jaise aap ne likhaa hai us meN she'r out of meter ho gayaa hai:

nahiiN teraa nasheman qasr-e-sultaanii ke gumbad par
tu shaahiiN hai, baseraa kar pahaaRoN kii chaTaanoN par**
<!--Session data-->

Re: sabaq_aamoz ash'aar...aise ash'aar jis meN koi wisdom chhupi ho

Rung faryadi hai kis ki shokhi-e-tehreer ka
Kaghzi hai pair'han her paikar-e-tasveer ka

**
waah, bahooot Khoob, bahooot umda. thank you

meri taraf se yeh ek she'r:

phool kii patti se kaT saktaa hai heere kaa jigar
mard-e-naadaaN pe suKhan-e-narm_o_naazuk be_asar**
<!--Session data-->

Re: sabaq_aamoz ash'aar...aise ash'aar jis meN koi wisdom chhupi ho

Aaj bhi daher men kuch log bhalaa karte hain
'tashna' wo log magar saaheb-e- imaan hon ge

Aap [S.A.W.S] ka naam mangta hun mein
rooh-e-islam mangta hun mein . . . .

hun tawaj' jo ka aap [S.A.W.S] ki taalib
lutf-o-ikraam mangta hun mein . . . .

aap [S.A.W.S] ki yaad se laba-lab ek
dard ka jaam mangta hun mein . . . .

aap [S.A.W.S] ki per'vi se ho mansoob
aisa ilzaam mangta hun mein . . . .

aap [S.A.W.S] ke saaya-e-saadat mein
aakhri shaam mangta hun mein . . . .

dil rahay Mustafa [S.A.W.S] ke rastay par
bas yehi kaam mangta hun mein . . . .

sirf apnay liye nahe Amjad
rehmat-e-aam mangta hun mein . . . .!!

    *AMjad Islam Amjad*

Re: sabaq_aamoz ash'aar...aise ash'aar jis meN koi wisdom chhupi ho

**nahiiN hai cheez nikammii koii zamaane meN
koii buraa nahiiN qudrat ke kaar_Khaane meN

'allaamah Iqbaal**

Re: sabaq_aamoz ash'aar...aise ash'aar jis meN koi wisdom chhupi ho

jina dukhaan wich dilbar razi, sukh ona tu waray
dukh qabool Mohammad bakhsha, razi rehn piaray

by Mian Mohammad Bakhsh (saif-ul-malook)

Aadab...
Watan kay hon gar kantay to bhar lay apnay daman man
Phool agar hn pardaysi to mat choona bewafa hon gay

Re: sabaq_aamoz ash'aar...aise ash'aar jis meN koi wisdom chhupi ho

banda-e-momin kaa dil beem o riyaa se paak hai
quwwat-e-farmaaN_ravaa ke saamne be-baak hai
:)

'allaamah Iqbal

Re: sabaq_aamoz ash'aar...aise ash'aar jis meN koi wisdom chhupi ho

na jahan man kisi ko aman mili, jo aman mili to kahan mili
mray jurm-e-khana-e-kharab ko teray ufwo' banda-e-nawaz man