*Saba hamarey rafeeqooN sy ja ky yeh kehna
Basade tashakur-o-ikhlas-o-khusn-o-khush-adbi
keh jo salook bhi ham par rawa howa us meiN
nah koyi ramz nehaaN he nah koyi bo-ajbi
Hamary wastey yeh raat bhi muqaddar thi
keh harf aaye sitarooN pe becharaghi ka
libas-e-chak pe tuhmat qaba-e-zareeN ki
dil-e-shakista per ilzaam baddimaghi ka
Saba jo rah meiN dushman mileeN to farmana
keh yeh to kochh nah kiya, ho sakey to our karey
keh apney dast-e-laho-rang per nazar dhaley
keh apney dawa’a-e-maasomiyat pe ghour karey
Khadees he keh asolan gunehgaar nah hooN gy
gunahgaar pe pathar sambhalney waley
our apni aankh ky shehtair pe nazar rakheeN
hamari aankh sy kaantey nikalney waley*
Khadees he keh asolan gunehgaar nah hooN gy
gunahgaar pe pathar sambhalney waley
our apni aankh ky shehtair pe nazar rakheeN
hamari aankh sy kaantey nikalney waley
wah kya baat hai.
thanks for sharing Rameesha jii.