ye jo dewanay say do chaar nazar aatay hain
in mein kuch sahib-e-asraar nazar aatay hain
teri mehfil ka bharam rakhtay hain so jatay hain
varnaa yeh loag to bedaar nazar aatay hain
door tuk koii sitaaraa hai na koii jugnuu
marg-e-umeed ke aasaar nazar aatay hain
mere daaman mein sharaaron ke sivaa kuchh bhe nahin
aap phooloon ke Kharidaar nazar aatay hain
kal jise chhu nahin sakti thi farishton ke nazar
aaj vo raunaq-e-baazaar nazar aatay hain
hashr mein kaun gavaahee mere dey gaa ‘Sagar’
sab tumhaare hii taraf_Daar nazar aate hain