sab tumhaare hii taraf_Daar nazar aate hain .. For Black Mamba

ye jo badsorat say do chaar nazar aatay hain
kuch to koylay ki kaan say niklay nazar aatay hain

teri bolway ka bharam rakhtay hain aja’tay hain
varnaa yeh teray abba to bedaar nazar aatay hain

door tuk koii police hai na koii JaGuuu
magar kutay khatarkan nazar aatay hain

mere daaman mein gandairiyon ke sivaa kuchh bhe nahin
aap meetay aamon ke talabgar nazar aatay hain

kal jise daikh nahin sakti thi doorbeen ki nazar
chashma badla hay to chehray pay baal nazar aatay hain

Adalat mein kaun gavaahee mere dey gaa ‘Qatil’
sab tumhaare hii Bhai Band nazar aate hain

:smiley:
Adab Arz
(Azad)

Welldone Azad Ji :k: :k:

Itni Jaldi Jo Kiya Post Hai Tum Ne Ye Jawab
App To Pehlay Se Tarrar Nazar Aatay Hain

:hehe: bouhat khoob.. both of U :k:

bore ho rahay thay hum socha thorri dil lagi kar lain :slight_smile:

Nawazish AsweetA

Achi Dil Lagi Ki Aap Ne. Azad Ji
:k:

:hehe:

Paglee tum aisay na muskoraya karo

Zara Nawazi hay aap ki.

dillagi main dil ko aisi lagi keh dil kho gia … Ghalban gana hi hay .. hay aisi koi site jahan say Hindi songs download kiay ja sakain??

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

Paglee tum aisay na muskoraya karo
[/QUOTE]

Azad ji... Issay Muskurana naheeN HaNsna kehtay HaiN ;)

Ya tu har waqat tiyar nazar atay hain
Ajj kuch dill say bayzar nazar atay hain

[QUOTE]
*Originally posted by Golden_Scorpion: *

Azad ji... Issay Muskurana naheeN HaNsna kehtay HaiN ;)
[/QUOTE]

aap ka bachpana hay.. aap ko muskorati howi nazar aa rahi hay,
hum tehray zara dheemay mezaj walay .. to hum dheemay say muskoray par hi iktefa kar laytay hain...
Arz kia hay

Paglee tu na aisay mukoraya karo
Aisay hi Na dil ko gud'gudaya karo
Dhaika nahi jee bhay kay abhi
Abhi say na tum aisay bal khaya karo

humm humm hon hon
laa lalala la la

Adab Arz

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

aap ka bachpana hay.. aap ko muskorati howi nazar aa rahi hay,
hum tehray zara dheemay mezaj walay .. to hum dheemay say muskoray par hi iktefa kar laytay hain...
Arz kia hay

Paglee tu na aisay mukoraya karo
Aisay hi Na dil ko gud'gudaya karo
Dhaika nahi jee bhay kay abhi
Abhi say na tum aisay bal khaya karo

humm humm hon hon
laa lalala la la

Adab Arz
[/QUOTE]

**Azad Gi...

Muskuranay Ki Baat Kartay Ho
GudGudannay Ki Baat Krtay Ho
UnKe bal khanay ke na baat karo
KiuN Jallanay ki baat Kartay Ho
(GS)

Kesa :D

Adab Arz** :)

[QUOTE]
*Originally posted by Golden_Scorpion: *

**
Kesa :D
**

[/QUOTE]

Bhai zara Paglee jee ko anay dain ..... lagta hay aaj to woh aap ko daba daba kar hi maufi ki arzi lekhway gi :D phir Adab ka pata bhi chalay ga oor Arz karnay ka maza bhi aay ga ;)

Paglee kahannnnnn ho tummmmmmmm

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

Bhai zara Paglee jee ko anay dain ..... lagta hay aaj to woh aap ko daba daba kar hi maufi ki arzi lekhway gi :D phir Adab ka pata bhi chalay ga oor Arz karnay ka maza bhi aay ga ;)

Paglee kahannnnnn ho tummmmmmmm
[/QUOTE]

**Azad Gi

KiuN Dabaabay Ki Baat Kartay Ho
Phir Sataanay Ki Baat Kartay Ho
Maaf KardaiNgi Mujhko Paglee Gi
KiuN Daraanay ki Baat Kartay Ho
(GS)

Ab Kesa** ;)

humm ab theek hay

Ye To POETRY ka FORUM kam aur MalakhRay Ka Maidan Zyada Lag Raha Hai.

[QUOTE]
*Originally posted by Black Mamba: *
Ye To POETRY ka FORUM kam aur MalakhRay Ka Maidan Zyada Lag Raha Hai.
[/QUOTE]

yahee to hai... wo apna pan