sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
uss ki hansi ne to aaj mujhe rula diya
lehje se uth raha tha har ik dard ka duhan
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya
aawaz mein therao tha aankhoon mein nami thi
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya
jane kya uss ko loghon se thi shikayatein
tanhaiyon ke dais mein khud ko basa diya
khud bhi woh hum se bichar kar adhura sa ho gya
mujh ko bhi itne loghon mein tanha bana diya…
Re: sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
Buhat khoob,,,,,,,,,,,
Herlafz to awaz ka muhtaj na hota,,,
sab zakhem rage jan ke dikhaye nahi jatey
Re: sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
beautiful!!!!!!
Re: sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
jaan L ji kia bate hey app ki nice one wasy may tu first time he pari app ki koi ghazal but this is nice one ya dard key rashtay asy he hotay heen
kabi kisi per atamad nahe karein chot khaien gay
Re: sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
thanx all