**Sab se chupa kar dard jo wo muskura diya
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya
lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya
aawaz main thayrao tha aankhoon mein nami thi
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya
jane kiya us ko logon sey thein shikayatein
tanhaiyon k daish main khud ko basa diya
khud bhi wo hum sey bichar kar adhura sa ho gaya
mujh ko bhi itne logon main tanha bana diya**