**sab log liye sang-e-malaamat nikal aaay kis shahar me.n ham ahal-e-muhabbat nikal aaay
ab dil kii tamannaa hai to ai kaash yahii ho
aa.Nsuu kii jagah aa.Nkh se hasarat nikal aa`ay
har ghar kaa diyaa gul na karo tum ke na jaane
kis baam se Khurashiid-e-qayaamat nikal aa`ay
jo dar_paa-e-pindaar hai.n un qatl_gaho.n se
jaa.N deke bhii samajho ke salaamat nikal aa`ay
ai ham_nafaso.n kuchh to kaho ahad-e-sitam kii
ik harf se mumkin hai hikaayat nikal aa`ay
yaaro mujhe masaluub karo tum ke mere baad
shaayad ke tumhaaraa qad-o-qaamat nikal aa`ay**