Sab kuchh luta diya !

Sab kuchh luta diya faqat tujh pe bharosa kar ke,
Jane kyun bohut roye ham aaj aisa kar ke … !

Ye Bata meri be-basi pe muskurane wale,
Kaya mila tujh ko mere dukh mein ezafa kar ke … !!

Kaya kabhi tu ne bhi mujh se mohbbat ki thi,
Puchh zara khud ko aaine mein khara kar ke … !!!

Kaash tu mere dard mein hamdard bana hota,
Tu ne to chhorh diya mujh ko tamasha kar ke .

dedicate to… ::::::::::::::::::::::::: :frowning:

Re: Sab kuchh luta diya !

Kaya kabhi tu ne bhi mujh se mohbbat ki thi,
Puchh zara khud ko aaine mein khara kar ke … !!!

http://4.bp.blogspot.com/-69PGr4eqXms/U4iZ1ktPgFI/AAAAAAAARQw/LhSMKCvp4og/s1600/Bewafa-urdu-shayari-tum-agar-aaina-dekho-to-apny-aap-sy-nazrein-chura-lena-ky-aksar-BEWAFA-logon-ki-jab-wo-aaina-dekhein-to-aankhein-chor-lagti-hain.jpg

Re: Sab kuchh luta diya !

ubb mein kya kahon bhai :slight_smile: me ko inni poetry shoetry nahi ati :smiley:

Re: Sab kuchh luta diya !

acha hai. improvement aa jaengi jald hi... kiya pata aap 21st century ki Parveen Shakir bun jaen

Re: Sab kuchh luta diya !

hahaha tobah kerein jb tuk improvement ani mai kahin or hona

Re: Sab kuchh luta diya !

sab kuchh luTaa ke hosh meN aayaa? :hmmm:

Re: Sab kuchh luta diya !

jab chiRya chug gai khet. kiya chiRya poora khet chug jati hain?

Re: Sab kuchh luta diya !

HMMMMM

Re: Sab kuchh luta diya !


zaroor chug jaatii hoNgii varna aisii kahaavat hii kiuN bantii? :D vaise, chiRyaa apne badan ke vazan kaa teen gunaa khaatii hai 24 ghanToN meN...i've to start eating 400 pounds of food avery day to compete with the birds. :D vaise, jab TiDDiyaaN Ghol dar Ghol kisii khet par vaarid hotii haiN to vo yaqeenan pooraa kaa pooraa khet khaa jaatii haiN. bachpane meN gaaoN ke saare laRke mil kar un laakhoN TiDDiyoN meN se hazaaroN bhoon kar khaa jaate the. lol

Re: Sab kuchh luta diya !

TOBAH TOBAH APP NY MERI POST KA KYA HAAL KER DIYA MAZAK MAZAK BULI BAAT:p

Re: Sab kuchh luta diya !

aap ne khai huwi hai tiddi?

Re: Sab kuchh luta diya !

HAHAHAHAH tiddiii

Re: Sab kuchh luta diya !

TiDDii to nahiiN haN albatta TiDDii aur piddii kaa shorbaa khaayaa hogaa! :cb:

Re: Sab kuchh luta diya !

:smack2: abhi tak 21st chal rahi hy…22nd kab aa`ay gi…?:stuck_out_tongue:

Re: Sab kuchh luta diya !

Bohat Khoob

Re: Sab kuchh luta diya !

Ail Aur Love Story :D

Re: Sab kuchh luta diya !


hahahha noway koi love shove story nhahi i hate love :)