Dil Kay Sehra MaiN Meray PaaoN Tu Apna Rakhay
Iss se BaRh Kar Koi Kya Aur Tamanna Rakhay
Ham Ko Ham-Naam Teray Sab Hi Bhalay Lagtay Hain
Dil MaiN Har Aik Teri Yaad ko Taaza Rakhay
Dil To Phir Dil Hai Gila Kaisay KaraiN Ham Uss Se
Shikwa Hai Aankh Se, KyoN Dil Ko TaRapta Rakhay
Deen o Dunya Ki To BataiN Hi Bhulla Dali HiaN Ab
Dil MiaN bas Tu Hai, Na ye Deen Na Dunya Rakhay
Tu Agar Ranj Bhi De, Meri Dua hai Ke Khuda
Tujh Ko Aabad Rakhay, Mujh Sa Na Tanha Rakhay
Tum Ne Jo Uss Pe Lagaye HiaN, Har Ik Zakhm Ko Dil
Din Ho Ya Raat Ho, Har Waqt Sulagta Rakhay
Poet = (Black Mamba)