Sab ka tu madaawa kar dala, apna hi madawa bhool gaye

Kuch tujh ko khabar hai hum kya kya, ay shorishe dauran bhool gaye
Woh zulf pareshaan bhool gaye, woh deeda-e-gareyaan bhool gaye

Ay shauk-e-nazara kya kaheyay, nazroo mein koi surat hi nahee
Ay zouk-e-tassavur kya kejeyay, hum surat-e-janaan bhool gaye

Ab gul se nazar milti hi nahee, ab dil ki kali khilti hi nahee
Ay fasl-e-baharaan rukhsat ho, hum lutf-e-bahaaran bhool gaye

Sab ka tau madaawa kar daala, apna hi madaawa kar na sake
Sab ke tau garebaan seee daalay, apna hi garebaan bhool gaye

Yeh apni wafa ka aalam hai, ab un ki jafa ko kya kaheyay
Ek nashtar-e-zehar age rakh kar nazdeek-e-jaan bhool gaye

Beautiful......... keep it up

chan our suraj ......... suraj jee aap ki Chanda/chandni kahan hay .. uss kay baghair aap bohut aadhooray say lag raho ho :(

khush???

kaisay ajeeb log hain madhoosh honay bhi nahi daytay :(, Chand(a) ka "a" hum nay aadhoori jee ka sooch kay rakh liya tha.

janaab, Chaand hota hai.. hoti nahi.. :slight_smile:

Beautiful :k::k:

very niceeee :k:

Wah :k:

Azad g. aap yun puchtay '' aap ki chandni kahan hay" phir thek hota. kaha to sahe chand us kay bagair adura hay

good one:biggthumb

yeh to hay … kabhi kabhi ziyada ho jati hay

[QUOTE]
*Originally posted by tunhaye: *
Azad g. aap yun puchtay '' aap ki chandni kahan hay" phir thek hota. kaha to sahe chand us kay bagair adura hay
[/QUOTE]

Tunhaye jee aap behtar janti ho ... kon kis ke bina aadhoora hay :)

bahut khoob !!

bohat khoob

Behtareen intekhaab

Israr ul haq "MAJAZ" lakhnavi ki aik maaraka tul aaraa' ghazal

Shukriyaa aap ka k hamen aik arsay k baad iss ghazal ko paRhnay ka moqa milaa.

sham