Sab Hi Jazbaat Khayalat Badal Jatay Hain

**Sab Hi Jazbaat Khayalat Badal Jatay Hain
Yon Mohabbat Main Ye Din Raat Badal Jatay Hain

Pyaar Tu Un Ko Bhi Hum Say Hay Mager Janay Kyun
Hum Karay Baat Tu Wo Baat Badal Jatay Hain

Aarzoo Tu Hay Keh Izhaar -e- Mohabbat Kar Don
Lafz Chunta Hoon Tu Lamhaat Badal Jatay Hain

Kitni Nafrat Thi Kabhi Pehlay Mohabbat Say Humay
Ho Mohabbat Tu Khayalat Badal Jatay Hain

Ak Sa Waqt Mohabbat Main Kaha Rehta Hay
Gardish -e- Waqt Say Halaat Badal Jatay Hain**

Re: Sab Hi Jazbaat Khayalat Badal Jatay Hain

jub pyar hai tou baat kyon badalte hain ?

Re: Sab Hi Jazbaat Khayalat Badal Jatay Hain

yeh she'r fil badeeh ho gayaa...mulaaHizah farmaaiye:**

aayaa hai zamaana bhii yeh Khoob, zaraa dekho to
aate hii janam din ke ham saGhaat badal jaate haiN!!!** :p

Re: Sab Hi Jazbaat Khayalat Badal Jatay Hain

Kitni Nafrat Thi Kabhi Pehlay Mohabbat Say Humay
Ho Mohabbat Tu Khayalat Badal Jatay Hain

:k:

Re: Sab Hi Jazbaat Khayalat Badal Jatay Hain

Sha`ir kuch Dara howa sa lagta hy...........shayad isi wajha sy

Re: Sab Hi Jazbaat Khayalat Badal Jatay Hain

dar ? kaisa dar ?

Re: Sab Hi Jazbaat Khayalat Badal Jatay Hain

Kuch log hoty hyn joo Kisi Kaam k krny mein Jhijhak mehsoos krty hy......
Unhay bila wajha ka Dar laga rehta hy..........Kuch ghalat na ho ja`ay
Kisi aik Point py Focus nhi krty...

Re: Sab Hi Jazbaat Khayalat Badal Jatay Hain

kya sirf isi qism ka dar yahan applicable hai ?

Re: Sab Hi Jazbaat Khayalat Badal Jatay Hain

Dar ki baat ho rahi hai ya dard ki :rolleyes:

Re: Sab Hi Jazbaat Khayalat Badal Jatay Hain

:hehe: tht was a typo

Re: Sab Hi Jazbaat Khayalat Badal Jatay Hain

Sab kuch isi k ird/gird ghoomta hy..........