SaAz o Awaaz khaad o khaal men aa jatey hain

**SaAz o awaaz khaad o khaal men aa jatey hain,
Saans leta hoon to sur tal men aa jatey hain

Jang aur ishq men Haaray huay logon ki tarha,
Hum ghanimat k kisi maal men aa jatay hain

Zindagi khawab or khawab kee Qeemat lenay,
Jin ko aana ho kisi haal men aa jatey hain

Tu bhi saada hai kabhi chaal bdalta he nahi,
Hum bhi daanista teri chaal men aa jatey hain

Sham dhalte he kisi gosha-e-veerani men,
Hum parindon ki tarha jaal men aa jatey hain…!**

Re: SaAz o Awaaz khaad o khaal men aa jatey hain

**
Jang aur ishq men Haaray huay logon ki tarha,
Hum ghanimat k kisi maal men aa jatay hain

:k:

main abhi Parveen Shakir ki ghazal sun raha tha.. uss main ye shair hai:

Le jae mujhe adoo maal e ghanimat samajh kar
tu ne to daali hai sapar tum ko iss se kia
**

Re: SaAz o Awaaz khaad o khaal men aa jatey hain

Nice 1