Saaya-e-Gul Se Bahr Tor Juda Ho Jaana (Mosin Naqvi)

**Saaya-e-Gul Se Bahr Tor Juda Ho Jaana
Raas Aaya Na Mujhe Maoj-e-Saba Ho Jaana,

Apna Hi Jism Mujhe Taysha-e-Farhad Laga
Maine Chaha Tha Pahaaron Ki Sadaa Ho Jaana,

Mosam-e-Gul Kay Taqaazon Se Bghawat Thehra
Qafs-e-Ghuncha Se Khushbu Ka Rihaa Ho Jaana,

Qasr-e-Awaaz Mein Ek Hashar Jaga Deta Hai
Us Haseen Shaks Ka Tasveer Numa Ho Jaana,

Raah Ki Gard Sahi Maiel-e-Parwaaz To Hoon
Mujh Ko Aata Hai Tera Band-e-Qaba Ho Jaana,

Zindgi Tere Tabassam Ki Wazahat To Nahi
Maoj-e-Tufaan ka Ubharte Hi Fanaa Ho Jaana,

Kiyoon Na Us Zakhm Ko Main Phool Se Tabeer Karoon
Jis Ko Aata Ho Teraa Band-e-Qaba Ho Jaana,

Ashk-e-Kam Go, Tujhe Lafzun Ki Qaba Gar Na Mile
Meri Palkun Ki Zubaan Se Hi Adaa Ho Jaana,

Qatal Gaahon Ki Tarah Surkh Hai Raston Ki Jabeen
Ek Qiyamat Tha Mera Aabla Paa Ho Jaana,

Pehle Dekho To Sahi Apne Karam Ki Wussat
Pher Bare Shoq Se Tum Mere Khudaa Ho Jaana,

Be Talab Dard Ki Dolat Se Nawazo Mujh Ko
Dil Ki Toheen Hai Marhoon-e-Dua Ho Jaana,

Meri Aankhun Kay Samundar Mein Utarne Waale
Kon Jaane Teri Qismat Mein Hai Kiya Ho Jaana,

Kitne Khawab Deeda Manaazir Ko Jagaaye “Mohsin”
Jaagti Aankh Ka Pathraaya Howa Ho Jaana.**

Re: Saaya-e-Gul Se Bahr Tor Juda Ho Jaana (Mosin Naqvi)

xabrdast :k:

Re: Saaya-e-Gul Se Bahr Tor Juda Ho Jaana (Mosin Naqvi)

Babri…kakay boht din bad kuch post kia hai. :hmmm:

lekin hamesha ki tarah lajawab…aur mohsin naqvi ki shairi ka to jawab nai :lajawab: