=====================================
++++++++++++++++++++
**
Kuch Khushi Kay Sa’ey Main
Aur Kuch Ghamoo’n Kay Saath Saath
Zindagee kat Hee Ga’ee Hay
Uljhanoo’n Kay Saath Saath
**
Aaj Tak Uss Ki Thakan Say
Dukh Raha HayYeh Badan
Ek Safar Mainay Kiya Tha
Khwahishoo’n Kay Saath Saath
**
***Ess Dafa Sawan Main ***
Tayri Yaad Kay Badal Rahay
***Ess Dafa Main Khoob Roya ***
Barishoo’n Kay Saath Saath
Kis Tarah Khaya Hay dhoka
Kiya Bataoo’n Main…
Dostoo’n Kay Mashwaray Thay
Sazishoo’n Kay Saath Saath
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
----------------------------------------------
=======================